Published in Shashca - Youth Ka Newspaper
‘Bandar kay hath main nariyal’ yeh mahawara tou suna he hoga! Kya aisa hotay dekha hai? Nahi dekha tu aaj hi United States aur Canada kay chiriya gharon ka rukh karein. Jahan kay zoo-keepers ne yeh inkeshaaf kya hai kay gadgets ka shoq sirf insano main hi nahi balkay bandarun mein bhe berhta ja raha hai.
Ek program, ‘Apps for Apes’ kay tehet, en do mumalik k 12 chiriya gharun main orangutans k liye I-pads mutarif karaye gaye hain, jin se wo faraghat kay auqaat main khub mehzuz hoskatay hain. Yaad raahy, Orangutans khass kisam k bandar hain jo Indonesia aur Malaysia main paye jatay hain
Richard Zimmerman, New York City mein based ek non-profit Orangutan Outreach kay Director hain jo kay yeh program chala rahy hain un kay mutabiq, “Hum ne orangutans ka behavior insani rawaeyye kay qareeb qareeb paya, unhein tablet ko chona, David Attenborough kay short videos dekhna, apnay jaisey orangutans aur dosray janwaro ko dekhna buhut acha lagta hai”
Sar ki juyein tu yeh orangutans roz hi khatay hain magar tablets per hath saaf, haftay main sirf do bar kertey hain wo bhe 15 minutes se le ker adhay ghantay tak. Mukhtalif applications ki mukhtalif timings hain.
Bachun ke terhan bandarun main bhe painting, music and memory games applications bohat mashoor hain.
Toronto Zoo kay mast zoo-keeper Matthew Berridge, drawing ke liye Doodle Buddy, Montessori Counting Board and Activity Memo Pocket, aur memory game youtube per video chalany ke liye estimal kerty hain, jo kay apes ko bohat achi lagti hain. Yun keh lejiye kay wo apes ko apnay bachun ki terhan treat kertay hain.
“yeh bachun ko pop-up videos dekhanay jaisa hai”, Zimmerman mazeed kehty hain kay orangutans bohat zaheen primates hain jin ka intelligence level young bachun kay baraber hai.
In chezun main Zimmerman sahab ka demagh bara chalta hai, wo kehty hain ke zoo-keepers investigate ker rahay hain ke kaisey communication apps janwarun ko behter express kernay main madad farham ker sakti hain.
“Suppose kisi orangutan ko daant mein dard hai tou wo I-pad per daant ki picture ko press karay ga aur iss terhan communicate karay ga” unhone mazeed explain kertey hoye kaha.
News Source: The News
Picture Source: Facebook
Noor,
ReplyDeleteRead 2 posts now. Both are very informative. Some animals do learn few things which we think only humans could do.
Take care